Peepal Farm
17.5K subscribers
263 photos
890 videos
3 files
1.92K links
An animal rescue and awareness organization. We help animals heal, and be heard.

https://peepalfarm.org/
namaste@peepalfarm.org
+91 99994 29144

Village VPO Dhanotu
Tehsil Shahpur, District Kangra
Himachal Pradesh 176208
Download Telegram
Kal weekly update shaam 4 baje release hoga! 🙏
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
John Lennon ka Imagine song ka hindi version, lyrics ke saath! Yeh whatsapp version hai jo aap sabke saath share kar sakte hain!
👍2
Noori TVT naam ke sexually transmitted disease ka shikaar thi. Yeh bimaari stray dogs mein bahut zyada failti hai, aur iska sirf ek hi sujhaav hai, aur woh hai sterilization. Noori ki surgery humne kar di hai. All the best Noori!❤️
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
हम दर्शकों की ज़िम्मेदारी
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Mannat ji kuch samay se iss dog ka khayal rakh rahe the, lekin iske haalat mein koi sudhaar nahi aaya. Yeh bechaara ek abandoned pet hai, jise TVT ho gaya hai, aur uske tumor mein maggots bhi lag gaye hai. Kal shaam ko jab yeh humaare paas aaya, tab sabse pehle humne iske saare maggots nikaale, aur ab kuch samay tak poori tarah theek hone tak yeh humaare saath hi rahega. Theek hone ke baad hum iske liye ghar bhi dhoondenge, toh website dekhte rahiye!
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Khajoor ki kahaani ka whatsapp version !
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Janwaro ki madad ke 2 tarike. WhatsApp status
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Badhte Beatles ka whatsapp version 😍
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
ध्यान करने के क्या फायदे हैं?
Dholak ko ek kaafi gehra ghaav tha, shayad sadak durghatna ki wajah se. Sahi samay kar Ayush Dixit ji ne ise dekh liya, isse pehle ki uske ghaav mein keede na padein. Ghaav ki suturing karne ke baad lagbhag 2 maheenon mein woh theek ho gaya, aur kal humne use Kangra mein release kar diya!

All the best, Dholak!
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Kal Palampur se Veronica ji iss kitten ko leke aayi thi. Yeh bechari sadak par akele ghoom rahi thi, toh Veronica ji ne use kuch samay tak foster kiya, aur ab yeh humaare saath rahegi.
Nawaab Robin ko humaare hi gaon mein mandrata hua mila tha. Uske gale mein se khoon tapak raha tha, aur humaare team mein se Aman use pakad kar farm par lekar aa gaya. Yahaan aane par dekha ki uske ghaav mein keede bhi the. Ab ek maheene baad, woh poori tarah theek ho gaya hai!☺️