Peepal Farm
17.5K subscribers
263 photos
889 videos
3 files
1.92K links
An animal rescue and awareness organization. We help animals heal, and be heard.

https://peepalfarm.org/
namaste@peepalfarm.org
+91 99994 29144

Village VPO Dhanotu
Tehsil Shahpur, District Kangra
Himachal Pradesh 176208
Download Telegram
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Janwaro ki madad ke 2 tarike. WhatsApp status
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Badhte Beatles ka whatsapp version 😍
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
ध्यान करने के क्या फायदे हैं?
Dholak ko ek kaafi gehra ghaav tha, shayad sadak durghatna ki wajah se. Sahi samay kar Ayush Dixit ji ne ise dekh liya, isse pehle ki uske ghaav mein keede na padein. Ghaav ki suturing karne ke baad lagbhag 2 maheenon mein woh theek ho gaya, aur kal humne use Kangra mein release kar diya!

All the best, Dholak!
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Kal Palampur se Veronica ji iss kitten ko leke aayi thi. Yeh bechari sadak par akele ghoom rahi thi, toh Veronica ji ne use kuch samay tak foster kiya, aur ab yeh humaare saath rahegi.
Nawaab Robin ko humaare hi gaon mein mandrata hua mila tha. Uske gale mein se khoon tapak raha tha, aur humaare team mein se Aman use pakad kar farm par lekar aa gaya. Yahaan aane par dekha ki uske ghaav mein keede bhi the. Ab ek maheene baad, woh poori tarah theek ho gaya hai!☺️
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Aaj subah subah Rajat ji ne humein iss dog ke liye call kiya tha. Jab humaari team nikal hi rahi thi, yeh bhaag gaya tha. Kuch ghanton baad jab woh isse fir se pakad paye, tab hum usey seedhe farm leke aa gaye. Aapko kya lagta hai, iska naam kya hona chahiye?
Kal shaam ko humne Fanboi, Mr. 3 aur Soldier, teenon ko release kar diya. Teenon ke cases alag alag the, aur ek saath theek hone ki wajah se hum unhe release kar paaye, aur aur rescues farm par la sakein.

Fanboi ka pair puraane haadse mein kat gaya tha, lekin ghaseette ghaseette, usme ghaav hone lage, jiski wajah se amputation hi sabse sahi sujhaav tha.

Mr. 3 ke case mein bhi amputation karna pada tha kyunki uska pair buri tarah sooar pakadne waale shikanje mein atak gaya tha.

Shayad koi sadak durghatna mein Soldier ki aankh phoot gayi thi. Surgery karke humein uski aankh nikaalni padi taaki koi future mein infection na ho.

In teenon kutton ko release karne mein dukh toh hua, lekin clinic ko sahi tarah chalane ke liye humein iss dukh ko jhelna hi padega...
👍1
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Samson ki kahani ka WhatsApp version.
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Parson shaam ko humaari team is dog ko rescue kar ke layi. Yeh bahut hi kamzor hai, poore badan par mange hai aur do bade bade maggot wounds bhi hai. Kamzor hone ki wajah se stray dogs aksar mange jaisi bimariyon ke shikaar ban jaate hain...
👍1
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Kal meri (Raveena) chutti thi, isliye main aapko samay rehte update nahi de payi. Kholi se Sukhdev ji ne is bull ko dekha, aur unhone humein call kiya. Iske poore shareer par maggot wounds hai, jiske liye hum uski treatment karenge.